khud ko kitni der manana padta hai lafzon ko jab rang lagana padta hai choti tak pahunchi rahon se sikho bhi kaise parwat kat ke aana padta hai bachchon ki muskan bahut hi mahngi hai do do paise roz bachana padta hai sach ka kapda phul se halka hota hai jhut ka parwat lad ke jaana padta hai suraj ko gali dene ka fashion hai chhanw ki khatir ped lagana padta hai dil ka kya hai jo kah do sun leta hai aankhon ko aksar samjhana padta hai