jidhar bhi jaun yahi silsila nikalta hai tumhaare ghar ki taraf rasta nikalta hai main ek umr se un daeron ka qaidi hun qadam jahan bhi rakhun daera nikalta hai main aazmane chala hun jahan pe jins-e-khulus nazar nazar se wahan zahr sa nikalta hai jo shakhs jaan se pyara ho shaikh sahab ko qasam khuda ki wahi dahriya nikalta hai tumhaare shahr mein kya kar rahe hain mere log gali gali se mera aashna nikalta hai wahi to shahr hai 'khalid' naqab-poshon ka har aastin se jahan aaina nikalta hai