khud apne jurm ka mujrim ko e'tiraf na tha magar ye jazba ba-nam-e-junun muaf na tha pighal to sakta hai loha nigah-e-azm to ho ye pahle qaid ki diwar mein shigaf na tha hasad ki gard thin bughz aur nafrat ki mere wajud pe aisa koi ghilaf na tha ulajh rahe hain bahut log meri shohrat se kisi ko yun to koi mujh se ikhtilaf na tha tere jamal se mahfil mein ab sukun sa hai wagarna zehn kisi ka kisi se saf na tha mera nasib ki kashti kinare lag na saki hawa ka jhonka to waise mere khilaf na tha jadid lahja ye andaz kis liye 'bekal' tujhe to husn-e-riwayat se inhiraf na tha