jigar-e-sokhta hain aur dil-e-biryan hain hum shoale ki tarah sada dida-e-giryan hain hum muttasil lakht-e-jigar karte hain aankhon se sada aah kis aashiq-e-gham-dida ki mizhgan hain hum kabhi hanste hain kabhi rote hain jalte hain kabhi gul hain shabnam hain ki ya aatish-e-sozan hain hum hum mein hi aalam-e-akbar hue go jurm-e-saghir mazhar-e-jalwa-e-haq hazrat-e-insan hain hum dahr pur-shor hai hathon se hamare ai aah aafrinash mein magar nala-o-afghan hain hum fikr-e-jamiyyat-e-dil hum ko kahan aah 'hasan' khatir-ashufta-e-gesu-e-pareshan hain hum