jigar-gudaz maani samajh sako to kahun qaza-o-qadr-e-zamani samajh sako to kahun wajud aaina-khanon ka hai fana-anjam qaza-e-charkh-e-dokhani samajh sako to kahun jabin-e-waqt ki tahrir mein nihan kya hai khirad ki zahr-fishani samajh sako to kahun qaza ki god mein hai hasraton ka gahwara zaban-e-ramz-e-nihani samajh sako to kahun bashar ke dida-e-dil par hijab-e-ghaflat hai fareb-e-husn-o-jawani samajh sako to kahun jahaz-e-umr na jaane ruke kahan ja kar muhit-e-dil ki rawani samajh sako to kahun khuda ke baad bashar ka maqam azmat hai tum apni kuchh bhi kahani samajh sako to kahun khizan-badosh chaman mein bahaar aai hai nizam-e-alam-e-fani samajh sako to kahun wo harf-e-raaz jo lab tak kisi ke aa na saka hakim-e-raaz ki bani samajh sako to kahun hayat-e-chand-nafas par tafakhur-e-be-ja har ek chiz hai fani samajh sako to kahun muqamiran-e-bisat-e-hawas agar tum kuchh hadis-faqr zabani samajh sako to kahun safina aql ka 'bebak' gharq hai mutlaq hai kitna zarf mein pani samajh sako to kahun