jigar ka dard jigar mein rahe to achchha hai jo baat ghar ki ho ghar mein rahe to achchha hai maal-e-kar se darna to buzdili hai magar maal-e-kar nazar mein rahe to achchha hai jo gir sake na kabhi aankh se guhar ban kar wo ashk dida-e-tar mein rahe to achchha hai rawan-dawan hai idhar umr jaanib-e-manzil idhar ye jam safar mein rahe to achchha hai pare karo na abhi gesuon ko aariz se ye sham qurb-e-sahar mein rahe to achchha hai ajib shai hai haqiqat mein soz-e-mahrumi fughan talash-e-asar mein rahe to achchha hai jale jale na jale aashiyan magar ye 'sahar' nigah-e-barq-o-sharar mein rahe to achchha hai