yaqin se phutti hai ya guman se aati hai ye dil mein raushni aakhir kahan se aati hai makan jale hain makinon ke qatl-e-am ke baad mahak lahu ki umandte dhuan se aati hai payam lati hai auj-e-firaq ka mujh tak hawa jo mil ke mere mehrban se aati hai qarar deti hai wo aaine ko manzil-e-did jo gard ud ke abhi karwan se aati hai ziya-e-roz-e-azal zulmat-e-shaban-e-giran faza hai jo bhi isi aasman se aati hai hamin na ja sake sajde mein wasl pane ko sada to ab bhi 'taraaz' aastan se aati hai