jigar ka khun aansu mein agar shamil nahin hoga ye moti armughan-e-dost ke qabil nahin hoga hasin khwabon ki duniya muztarib jazbaat ki basti tumhein kyunkar yaqin aaya ye mera dil nahin hoga shikasta saz hai tuta hua saghar hai dil mera mera dil bais-e-rangini-e-mahfil nahin hoga tumhaara sang-e-dar meri jabin-e-shauq kya kahiye ye sang-e-dar harif-e-sajda-e-sail nahin hoga mujhi se zid hai daur-e-asman aur daur-e-saghar ko mujhe kyon muddaa-e-zindagi hasil nahin hoga meri kashti hui hai ja ke aasuda jahan 'fitrat' fana ki mauj hogi dekhna sahil nahin hoga