kai bar un ki mahfil mein hamara zikr-e-khair aaya magar izhaar-e-lutf-e-dost-dari ke baghair aaya samajhta hun ye sang-e-rah ka'ba hai samajhta hun magar sham aai aur main laut kar phir su-e-dair aaya jamal-e-dost se pur-nur hai duniya-e-dil meri khayal-e-dost is ghar mein takalluf ke baghair aaya na dar girdab-e-gham ka hai na tufan-e-hawadis ka dil-e-azad in maujon mein lakhon bar tair aaya jhalakte hain mizha par ashk-e-dil sajde lutata hai zaban-e-be-kasi par aaj kis ka zikr-e-khair aaya rah-e-hasti mein sau mushkil ki ek mushkil ye thi 'fitrat' dil-e-nadan ne samjha ye haram hai jab bhi dair aaya