jin ke charche shahr bhar mein pak-damani mein hain mai-kade mein dekh un ko hum to hairani mein hain is taraf hai mai-kada aur us taraf hai ghar tera kis taraf jaen abhi tak is pareshani mein hain ek lamha wasl ka hum ko mila jaane diya khwahishen ab tak hamari is pashemani mein hain muttahid hona padega par utarne ke liye kab samajh mein aaega hum log tughyani mein hain ye mera hujra sukun-e-qalb ye sajde miyan rahaten kab ye mayassar qasr-e-sultani mein hain