log koshish mein hain mera qad ghatane ke liye par khuda raazi hai mera qad badhane ke liye bewafa ki dastan mujh ko sunane ke liye log aa jate hain mera gham badhane ke liye tum hamare samne zikr-e-nabi karte raho itna bas kafi hai dil ko chain pane ke liye itni tang-dasti hai ab bhi is qadar mehnat ke baad kis qadar dushwariyan hain ghar chalane ke liye gham tera aawaz deta hai bata main kya karun main gaya tha laut kar wapas na aane ke liye habs-e-dil badhne laga to khul ke phir hum ro diye ye saliqa tha hamara gham bhulane ke liye sab tahaif main ne tere kar diye wapas magar hath mein ek chain rakkhi hai ghumane ke liye