jin ke zer-e-nagin sitare hain

jin ke zer-e-nagin sitare hain
kuchh suna tum ne wo hamare hain

un ke aankhon ke wo kinare do
be-karani ke istiare hain

aansuon ko fuzul mat samjho
ye bade qimti sahaare hain

jo chamakte the baam-e-gardun par
khak mein aaj wo sitare hain

garmi-e-shauq ne teri 'asif'
un ke rukhsar o lab nikhaare hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close