ai shaikh mujh ko khwahish-e-bagh-e-iram nahin kucha buton ka mere liye us se kam nahin pahli si us mein aadat-e-jaur-o-sitam nahin afsos ab yahi hai ki is waqt hum nahin han ku-e-ghair mein tere naqsh-e-qadam nahin tujh par mera guman khuda ki qasam nahin mujh nim-jaan ke qatl mein takhir is qadar malum ho gaya tere khanjar mein dam nahin nalo tumhaare hath hai furqat mein apni sharm dekhen to aaj charkh nahin hai ki hum nahin aab-e-baqa ho mujh ko pilao jo aab-e-tegh tum zahr bhi jo do to wo amrit se kam nahin karta hai mujh se ahd-e-wafa to wo but magar mujh ko kuchh e'tibar khuda ki qasam nahin mumkin nahin kahin ho thikana 'fahim' ka teri nigah-e-lutf agar ai sanam nahin