jin raaton mein nind ud jati hai kya qahr ki raaten hoti hain darwazon se takra jate hain diwaron se baaten hoti hain aashob-e-judai kya kahiye an-honi baaten hoti hain aaankhon mein andhera chhata hai jab ujali raaten hoti hain jab wo nahin hote pahlu mein aur lambi raaten hoti hain yaad aa ke satati rahti hai aur dil se baaten hoti hain ghir ghir ke baadal aate hain aur be-barse khul jate hain ummidon ki jhuti duniya mein sukhi barsaten hoti hain ummid ka suraj duba hai aaankhon mein andhera chhaya hai duniya-e-firaq mein din kaisa raaten hi raaten hoti hain tai karna hain jhagde jine ke jis tarah bane kahte sunte bahron se bhi pala padta hai gungon se bhi baaten hoti hain aaankhon mein kahan ras ki bunden kuchh hai to lahu ki lali hai is badli hui rut mein ab to khunin barsaten hoti hain qismat jage to hum soen qismat soe to hum jagen donon hi ko nind aae jis mein kab aisi raaten hoti hain jo kan laga kar sunte hain kya jaanen rumuz mohabbat ke ab hont nahin hilne pate aur pahron baaten hoti hain jo naz hai wo apnata hai jo ghamza hai wo lubhata hai in rang-birangi pardon mein ghaton par ghaten hoti hain hansne mein jo aansu aate hain nairang-e-jahan batlate hain har roz janaze jate hain har roz baraaten hoti hain jo kuchh bhi khushi se hota hai ye dil ka bojh na ban jae paiman-e-wafa bhi rahne do sab jhuti baaten hoti hain jab tak hai dilon mein sachchai sab naz-o-niyaz wahin tak hain jab khud-gharzi aa jati hai jul hote hain ghaten hoti hain himmat kis ki hai jo puchhe ye 'arzu'-e-saudai se kyun sahab aakhir akele mein ye kis se baaten hoti hain