jin se ummid-e-karam thi wo sitamgar nikle

jin se ummid-e-karam thi wo sitamgar nikle
hum jinhen phul samajhte the wo patthar nikle

gham ke parde mein nihan khushiyon ke manzar nikle
is andhere mein ujalon ke samundar nikle

chal rahi hai yahan har samt bala ki aandhi
khair is mein hai koi ghar se na bahar nikle

meri achchhai chhupa li mere ham-dardon ne
meri ruswai badi dhum se le kar nikle

kitne arman se daman pe sajaya tha unhen
hae ye phul to kante se bhi bad-tar nikle

main ne jin hathon ko mazbut kiya tha 'nayyar'
aaj un hathon se mere liye khanjar nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close