karam-nawaz ye sara jahan nahin na sahi wo mehrban hai koi mehrban nahin na sahi meri jabin ko to matlab hai sajda-rezi se nishan-e-sang dar-e-astan nahin na sahi ye gham bhi un ki ata ki hui amanat hai agar ye bais-e-taskin-e-jaan nahin na sahi gham-e-habib salamat rahe ye kya kam hai khushi ka dil mein jo nam-o-nishan nahin na sahi chaman-paraston mein apna waqar ab bhi hai meri nazar mein agar baghban nahin na sahi kisi ke husn-e-ata par hai naz ai 'nayyar' hamari fard-e-amal zau-fishan nahin na sahi