jin se uthta nahin kali ka bojh un ke kandhon pe zindagi ka bojh waqt jab hath mein nahin rahta kis liye hath par ghadi ka bojh byah ke waqt ki koi photo gahnon ke bojh par hansi ka bojh sar pe yaadon ki tokari rakh li kam na hone diya kami ka bojh minnaten kyon kare khuda se ab aadmi bante aadmi ka bojh zabt ka bandh tut jaane do kam karo aankh se nami ka bojh hijr tha ek hi ghadi ka par dil se utra na us ghadi ka bojh hum ko aise khuda qubul nahin jin se uthta nahin khudi ka bojh