kaun nikle ghar se bahar raat mein

kaun nikle ghar se bahar raat mein
so gae hum apne andar raat mein

phir se milne aa gain tanhaiyan
kyon nahin khulte hain daftar raat mein

hum juta lete hain bistar to magar
roz kam padti hai chadar raat mein

roz hi wo ek ladki subh si
jati hai hum ko jaga kar raat mein

khwab dekha hai isi ka raat bhar
soe the jis ko bhula kar raat mein

zindagi bhar ki kamai ek raat
jo mili khud ko ganwa kar raat mein

sanp do aate hain hum ko katne
us ki yaaden aur ye ghar raat mein

zindagi ki raat ek din khatm ho
ye dua karte hain aksar raat mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close