jina hai ek shaghl so karte rahe hain hum

jina hai ek shaghl so karte rahe hain hum
hai zindagi gawah ki marte rahe hain hum

sahte rahe hain zulm hum ahl-e-zamin ke
ilzam aasman pe dharte rahe hain hum

milte rahe hain raaz hamein ahal-e-zohd ke
naz apne shaghl-e-jam pe karte rahe hain hum

ahbab ki nigah pe chadhte rahe magar
aghyar ke dilon mein utarte rahe hain hum

jaise ki un ke ghar ka pata jaante nahin
yun un ki rahguzar se guzarte rahe hain hum

karte rahe hain qaum se hum ishq be-panah
han nasehan-e-qaum se darte rahe hain hum

sharmaen kyun na hum se ufuq ki bulandiyan
khud apne baal-o-par ko katarte rahe hain hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close