phir chand dinon se wo har shab KHwabon mein hamare aate hain

phir chand dinon se wo har shab khwabon mein hamare aate hain
phir rah-guzar-e-dil par kuchh qadmon ke nishan hum pate hain

kuchh raat gae kuchh raat rahe hum akasr ashk bahate hain
kya jaane aag lagate hain ya dil ki aag bujhate hain

ai dil ai khushiyon ke madfan ai mere ghamon ke taj-mahal
le khush ho teri ziyarat ko ehsas ke mare aate hain

is darja hue hum duniya se bezar ki zikr-e-ghair to kya
ab khud se gurezan hain aur apne sae se ghabraate hain

manus hain gham se kuchh aise gar nind mein bhi hum ne 'arshad'
apne ko hanste dekh liya to dekhte hi dar jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close