jina kya hai habab ho jaana ek haqiqat ka khwab ho jaana ishq hai silsila sawalon ka aur wafa la-jawab ho jaana barha mahfilon ne dekha hai khamushi ka rabab ho jaana ye karishma hai zar-nawazi ka un ka tum se janab ho jaana jumbish-e-fikr ki yahi had hai bas azab-o-sawab ho jaana jab wo gauhar-shanasiyan na rahin ai guhar phir se aab ho jaana tishnagi imtihan leti hai ai nadi tu sarab ho jaana uth gai is taraf nazar un ki ai tamanna 'hijab' ho jaana