kabhi tere khat ko jala diya kabhi nam likh ke mita diya ye meri ana ka sawal tha tujhe yaad kar ke bhula diya naya aarzu ka mizaj hai nae daur ki hain rifaqaten teri qurbaton ka jo zakhm tha teri duriyon ne mita diya mujhe hai khabar tujhe ishq tha faqat apne aks-e-jamal se ki main gum hun tere wajud mein mujhe aaina sa bana diya main hisar mein tu hisar mein isi silsile ko dawam hai kabhi maslahat ne juda kiya to kabhi gharaz ne mila diya sabhi kah rahe hain ye barmala jo guzar gaya wahi khub tha abhi ek pal jo hai aasra use sab ne yunhi ganwa diya wo sharar ho ya ki charagh ho hai tapish mizaj mein ai 'hijab' kabhi har nafas ko jala diya kabhi raushni ko badha diya