jina kya hai pichhla qarz utar raha hun main to us ki baqi umr guzar raha hun aa jaega chaak pe chalna aur sambhalna abhi to gil se apna-ap utar raha hun koi kab diwar bana hai mere safar mein khud hi apne raste ki diwar raha hun khul ja mujh par harf-e-tilism ki teri tarah se ek zamana main bhi pur-asrar raha hun tujh ko manana itna gar aasan nahin hai main bhi dil ki pahli bazi haar raha hun