wo jab tak anjuman mein jalwa farmane nahin aate surahi raqs mein gardish mein paimane nahin aate sharik-e-dard ban kar apne begane nahin aate mai-e-ishrat jo pite hain wo gham khane nahin aate lipat kar shama ki lau se lagi dil ki bujhate hain parai aag mein jalne ko parwane nahin aate udate hi phirenge umr bhar wo khak sahra ki teri zulfon ke sae mein jo diwane nahin aate jo apni aan par ai 'naz' apni jaan dete the zamane mein nazar ab aise diwane nahin aate