jine ki khwahishon mein kai bar mar gae yun apni dastan ke kirdar mar gae kante nikalne mein hi guzri hai zindagi dil mein liye hi hasrat-e-gulzar mar gae ai zindagi ye tera karishma nahin to kya hum maut se hi pahle kai bar mar gae mausam khizan hi ka tha magar haal ye na tha kaisi bahaar aai ki ashjar mar gae jis ki talash kijiye mil jae kya zarur jine ki justuju mein kai yar mar gae sikke ke sath sath jo pagdi uchhal padi jitne bache the hamil-e-dastar mar gae 'talib' riyaz-e-fan na ruke warna dekh le teri tarah se kitne hi fankar mar gae