guzri hui wo rut kabhi aani to hai nahin dil ne magar ye baat bhi mani to hai nahin ai qissa-go ye lahja tera yun kabhi na tha kuchh to bata ye kya hai kahani to hai nahin kuchh us ke muskurane se andaza ho to ho andar ki chot hai nazar aani to hai nahin phir us gali na jaane pe raazi hua to hai ab ke bhi dil ne baat nibhani to hai nahin wo baat ab kahan ki dilon ko kare ghulam bas ek chamak hai aankh mein pani to hai nahin duniya tere liye jo guzari guzar di ab ye jo rah gai hai ganwani to hai nahin