jine ki tamanna hai na marne ki tamanna hai aap ke kuche se guzarne ki tamanna tajdid-e-talluq ki ab ummid hai jaise dubi hui kashti ke ubharne ki tamanna be-sakhta aa jaiye parde se nikal kar aaine ko rah jae sanwarne ki tamanna suraj ko samundar mein dubo deti hai har sham aaram se ek raat guzarne ki tamanna jannat se nikalwaegi 'sultan' tumhein phir us shokh ke shishe mein utarne ki tamanna