jo kashmakash thi tera intizar karte hue jhijak raha hun use aashkar karte hue kasili dhup ki shiddat ko bhi nazar mein rakho kisi darakht ko be-barg-o-bar karte hue guzishta sal ki aafat kab khayal mein thin nashemanon ko supurd-e-bahaar karte hue kisi ne apne gireban mein kya talash kiya hamare raqs-e-wafa ka shumar karte hue hawa ke panw bhi shal ho ke rah gae aksar tere nagar ki fasilon ko par karte hue yahi hua ki samundar ko pi ke baith gai hamari naw safar ikhtiyar karte hue usi ke waste 'sultan' be-qarar hain hum jise qarar mile be-qarar karte hue