jine mein aasani rakh ek taswir purani rakh samne rakh kar aaina chehre par hairani rakh mukhlis agar ziyaada hain koi dushman-e-jaani rakh kahna sab ka man magar thodi si man-mani rakh is ko yun mat marne de apni aankh ka pani rakh mere aage sab chizen jaani aur pahchani rakh