jine mein thi na naza ke ranj o mehan mein thi aashiq ki ek baat jo diwana-pan mein thi sada waraq tha bahama gul-ha-e-rang-rang tafsir jaan pak bayaz-e-kafan mein thi badhta tha aur zauq-e-talab bekasi ke sath kuchh dilkashi ajib nawah-e-watan mein thi bimar jab hain karte hain fariyaad chaaragar kya dastan-e-dard sukut-e-mahan mein thi kahta tha chashm-e-shauq se wo aaftab-e-husn halki si ek shua thi jo anjuman mein thi kuchh iztirab-e-ishq ka aalam na puchhiye bijli tadap rahi thi ki jaan is badan mein thi kis se kahun ki thi wahi gul-ha-e-rang-rang bikhri hui jo khak sawad-e-chaman mein thi