nikal jae yunhi furqat mein dam kya na hoga aap ka mujh par karam kya hanse bhi roe bhi lekin na samjhe khushi kya chiz hai duniya mein gham kya mubarak zalimon ko zulm hum par jo apna hi kiya hai us ka gham kya mita jab imtiyaz-e-kufr o iman makan-e-kaba kya baitus-sanam kya nahin jab quwwat-e-ehsas dil mein gham-e-duniya surur-e-jam-e-jam kya guzar hi jaenge ghurbat ke din bhi karen do din ko ab akhlaq kam kya meri bigdi hui taqdir bhi hai tumhaare turra-e-gesu ka kham kya meri taqdir mein likkha hai tu ne bata ai malik-e-lauh o qalam kya bhula degi hamein do din mein duniya hamari shairi kya aur hum kya har ek mushkil ko hal karti hai jab maut karun aage kisi ke sar ko kham kya 'rawan' ke dard ka aalam na puchho koi yun hoga mast-e-jam-e-jam kya