jinhen hum zindagani mein sada dil mein basate hain na jaane kyon hamein wo khun ke aansu rulate hain khuda ka wasta hai ab to aa ja mere maskan mein ki tera rasta hum apni palkon se sajate hain mahaz-e-ishq mein dushwariyan to sab ko milti hain magar jo hon qadam sabit wahi manzil ko pate hain na jaane kitne ghar sailab ne gharqab kar dale ajab hain log phir bhi ghar lab-e-sahil banate hain hayat-o-marg jin ke nam hum ne apni kar dali saza wo qatl hone ki sar-e-mahfil sunate hain chhupa kar ashk aankhon mein 'hira' ab sochti hun ye nahin hoti hain jab jaen to dukh kis ko sunate hain