jis bazm mein tu naz se guftar mein aawe

jis bazm mein tu naz se guftar mein aawe
jaan kalbad-e-surat-e-diwar mein aawe

sae ki tarah sath phiren sarw o sanobar
tu is qad-e-dilkash se jo gulzar mein aawe

tab naz-e-giran maigi-e-ashk baja hai
jab lakht-e-jigar dida-e-khun-bar mein aawe

de mujh ko shikayat ki ijazat ki sitamgar
kuchh tujh ko maza bhi mere aazar mein aawe

us chashm-e-fusun-gar ka agar pae ishaara
tuti ki tarah aaina guftar mein aawe

kanton ki zaban sukh gai pyas se ya rab
ek aabla-pa wadi-e-pur-khar mein aawe

mar jaun na kyun rashk se jab wo tan-e-nazuk
aaghosh-e-kham-e-halqa-e-zunnar mein aawe

ghaarat-gari-e-namush na ho gar hawas-e-zar
kyun shahid-e-gul bagh se bazar mein aawe

tab chaak-e-gareban ka maza hai dil-e-nalan
jab ek nafas uljha hua har tar mein aawe

aatish-kada hai sina mera raaz-e-nihan se
ai wae agar mariz-e-izhaar mein aawe

ganjina-e-mani ka tilism us ko samajhiye
jo lafz ki 'ghaalib' mere ashaar mein aawe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close