kisi se koi khafa bhi nahin raha ab to gila karo ki gila bhi nahin raha ab to wo kahishen hain ki aish-e-junun to kya yani ghurur-e-zehn-e-rasa bhi nahin raha ab to shikast-e-zat ka iqrar aur kya hoga ki idda-e-wafa bhi nahin raha ab to chune hue hain labon par tere hazar jawab shikayaton ka maza bhi nahin raha ab to hun mubtala-e-yaqin meri mushkilen mat puchh guman-e-uqda-kusha bhi nahin raha ab to mere wajud ka ab kya sawal hai yani main apne haq mein bura bhi nahin raha ab to yahi atiyya-e-subh-e-shab-e-visal hai kya ki sehr-e-naz-o-zada bhi nahin raha ab to yaqin kar jo teri aarzu mein tha pahle wo lutf tere siwa bhi nahin raha ab to wo sukh wahan ki khuda ki hain bakhshishen kya kya yahan ye dukh ki khuda bhi nahin raha ab to