jis bhi jagah dekhi us ne apni taswir hata li thi mere dil ki diwaron par dimak lagne wali thi ek parinda udne ki koshish mein gir gir jata tha ghar jaana tha us ko par wo raat bahut hi kali thi aangan mein jo dip qataron mein rakkhe the dhuan hue hawa chali us raat bahut jab mere ghar diwali thi ek muddat par ghar lauta tha pas jab us ke baitha main mujh mein bhi maujud nahin thi wo khud mein bhi khali thi 'arsh' bahaaron mein bhi aaya ek nazara patjhad ka sabz shajar ke sabz tane par ek sukhi si dali thi