dar pe tere jo sar jhuka lunga is jahan mein sukun pa lunga chahe kirdar tum naya lena main to mele se aaina lunga phir na dastak se nind tutegi aaj darwaza tod dalunga kuchh bhi mange koi duaon mein main musafir hun rasta lunga aag to aag hai jalaegi ashk bhi ashk hai bujha lunga apni gahrai mein mukammal hun teri unchaiyon se kya lunga ruh aur bhi meri chamak jae tere zakhmon ko aise pa lunga sach to ye hai ki sach nahin kuchh bhi sirf afsane ka maza lunga tum jo pa jao rah-e-ishq 'wijay' rafta-rafta tumhein main pa lunga