jis dam wo sanam sawar howe

jis dam wo sanam sawar howe
ta-e-said-e-haram shikar howe

jo uth na sake teri gali se
rahne de ki ta-ghubar howe

mohkam tu rawaq ban sake hai
go umr ki paedar howe

wo qasr to chahta nahin main
jis mein gul o gul-ezar howe

wusat mere sine bich ai dahr
tuk dil ko shagufta war howe

sozan ki na jaib kijo minnat
yun phatiyo ki tar tar howe

shabnam se bhare hai saghar-e-gul
gardun to kharab-o-khwar howe

pani nahin dete us ko zalim
jo zakhmi-e-be-shumar howe

naseh tu qasam le hum se, dil par
apna kabhu ikhtiyar howe

khinche hai koi bhi tegh pyare
jamdhar ki jab aab-dar howe

kin zakhmon mein zakhm hai ki jab tak
chhati ke na war par howe

khinchi hai bhawan ne tegh mukh par
'sauda' se kaho nisar howe

waise hi kahe ye kaam gul-ru
aashiq hi na go hazar howe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close