samjhe hai mafhum nazar ka dil ka ishaara jaane hai hum tum chup hain lekin duniya haal hamara jaane hai halki hawa ke ek jhonke mein kaise kaise phul gire gulshan ke gul-posh na jaanen gulshan sara jaane hai sham-e-tamanna pichhle pahar tak dard ka aansu ban hi gai sham ka tara kaise duba subh ka tara jaane hai kya kya hain aain-e-tamasha kya kya hain aadab-e-nazar chashm-e-hawas ye sab kya jaane wo to nazara jaane hai apne 'shamim'-e-ruswa ko tum jaano ho anjaan koi basti sari pahchane hai sahra sara jaane hai