jis din se hum junun ke hain daman lage hue daman ki ja yahan hain gareban lage hue allah re qaid-khana-e-hasti ki dam ke sath har ek qadam pe lakhon hain zindan lage hue roya main dekh marqad-e-majnun ko dhad mar the ja-e-gul darakht-e-mughilan lage hue bare chhute asir-e-bala us gali mein aaj hain tud-ha-e-ganj-e-shahidan lage hue yaran-e-pesh-rau zara thahro ki jyun jaras hum pichhe pichhe aate hain nalan lage hue rakh soch kar qadam meri wadi mein gard-e-baad panw se apne hain ye bayaban lage hue koi to mere naseh-e-dana se ye kaho dil chhutte hain baaton mein nadan lage hue kya din the wo bhi 'lutf' ki rahte the misl-e-zulf kanon se us ke hum se pareshan lage hue