zuhur-e-paikri sahra mein hai sirf ek nishan mera ghubar-e-karwan hun dur nikla karwan mera rasai marg-e-shauq-uftadgi nang-e-tan-asani bala ki kashmakash hai aur ghubar-e-na-tawan mera mujhe ghabra ke dosh-e-hasti-e-jawed par phenka koi dam bhi na uttha maut se bar-e-giran mera mere saz-e-nafas ki khamushi par ruh kahti hai na aai mujh ko nind aur so gaya afsana-khwan mera kharabi khanda-zan hai koshish-e-tamir par meri qafas ko todta jata hai shauq-e-ashiyan mera