jis din se koi khwahish-e-duniya nahin rakhta main dil mein kisi baat ka khatka nahin rakhta mujh mein hai yahi aib ki auron ki tarah main chehre pe kabhi dusra chehra nahin rakhta kyun qatl mujhe kar ke dubote ho nadi mein do din bhi kisi lash ko dariya nahin rakhta kyun mujh ko lahu dene pe tum log ba-zid ho main sar pe kisi shakhs ka qarza nahin rakhta ahbab to ahbab hain dushman ke tain bhi kam-zarf zamane ka rawayya nahin rakhta ye sach hai ki main ghaalib-e-sani nahin lekin yaran-e-muasir ka bhi lahja nahin rakhta baadal to 'faragh' asl mein hota hai wo baadal jo pyas ke sahra ko bhi pyasa nahin rakhta