jis jagah jo KHush-nashin aaya nazar rahne diya

jis jagah jo khush-nashin aaya nazar rahne diya
hum ne raushan-dan mein chidiyon ka ghar rahne diya

mil ke jo bichhde unhen jaane se roka bhi nahin
aur jo sath aae un ko ham-safar rahne diya

jis ke dar ki karte phirte hain tijarat ahl-e-din
hum ne us ke khauf se larzida shar rahne diya

dard-e-dil ko bhi dawaon se hi bahlate rahe
bad-duaon ko hamesha be-asar rahne diya

har sahar tujh ko bhulane ke liye daftar gaya
aur teri yaadon ko mehman raat bhar rahne diya

jis mein hathon ko mere thame nazar aate ho tum
bas usi taswir ko diwar par rahne diya

sab badal kar rakh diya hum ne in aankhon ke liye
han magar manzar-ba-manzar chashm-e-tar rahne diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close