kitab-e-shauq mein in band bab aankhon ko na sahl jaan meri jaan khwab aankhon ko main ab bhi padhta hun tazin-e-sher-o-fan ke liye tamam raat teri khush-nisab aankhon ko qalam amanat-e-haq tha so likh diya main ne shagufta lams labon ko sharab aankhon ko ye faslon ki haqiqat ye qurbaton ka tilism azab hain ye talluq ke khwab aankhon ko khamoshiyon ki bhi apni zaban hoti hai ki mil hi jata hai 'asim' jawab aankhon ko