jis ka badan hai khushbu jaisa jis ki chaal saba si hai us ko dhyan mein laun kaise wo sapnon ka basi hai phulon ke gajre tod gai aakash pe sham saloni sham wo raja khud kaise honge jin ki ye chanchal dasi hai kali badriya sip sip to bund bund se bhar jaega dekh ye bhuri mitti to bas mere khun ki pyasi hai jangal mele aur shahron mein dhara hi kya hai mere liye jag jag jis ne sath diya hai wo to meri udasi hai laut ke us ne phir nahin dekha jis ke liye hum jite hain dil ka bujhana ek andher hai yun to baat zara si hai chand-nagar se aane wali mitti kankar rol ke lae dharti-man chup hai jaise kuchh soch rahi ho khafa si hai har raat us ki baaten sun kar tujh ko nind aati hai 'zafar' har raat usi ki baaten chheden ye to ajab bipta si hai