khusha ai zakhm ki surat nai nikalti hai bajae khun ke ab raushni nikalti hai nigah-e-lutf ho is dil pe bhi o-shisha-ba-dast is aaine se bhi surat teri nikalti hai mere harif hain masruf harf-sazi mein yahan to saut-e-yaqin aap hi nikalti hai zuban-burida shikasta-badan sahi phir bhi khade hue hain aur aawaz bhi nikalti hai tamam shahr hai ek mithe bol ka sail hamari jeb se han ye khushi nikalti hai ek aisa waqt bhi sair-e-chaman mein dekha hai kali ke sine se jab be-kali nikalti hai kisi ke raste ki khak mein pade hain 'zafar' mata-e-umr yahi aajizi nikalti hai