jis ka chehra gulab jaisa hai us ka milna to khwab jaisa hai baat karta hun is liye un ki baat karna sawab jaisa hai mera jina teri judai mein ek musalsal azab jaisa hai nashsha us ki nashili aankhon ka sab se achchhi sharab jaisa hai haal us ka bhi aaj-kal yaro dil-e-khana-kharab jaisa hai ai 'payam' in ki chahaton ka payam chahaton ki kitab jaisa hai