ek thakan quwwat-e-izhaar mein aa jati hai waqt ke sath kami pyar mein aa jati hai bas kahin chhor samundar ka nazar aa jae koi taqat meri patwar mein aa jati hai wo guzarta hai to khulte hain dariche ghar ke ek chamak si dar-o-diwar mein aa jati hai tute ghunghru ki jo aawaz hua karti hai wo khanak kyun meri guftar mein aa jati hai jab bhi aata hai mera nam tere honton par khushbu-e-gul mere ashaar mein aa jati hai har ghadi apni tamannaon se ladte ladte ek chamak chehra-e-khuddar mein aa jati hai jab ghazal 'mir' ki padhta hai padosi mera ek nami si meri diwar mein aa jati hai