jis ka mujhe arman hai wo aksar nahin milta

jis ka mujhe arman hai wo aksar nahin milta
main hosh mein hun aur mujhe ghar nahin milta

insan se rukhsat hua mear-e-fazilat
dastar to lakhon hain magar sar nahin milta

peshaniyan dhunden to kahan apna thikana
sajdon ka jo markaz tha wahi dar nahin milta

jo chahe sune hai ye mere qalb ki aawaz
jo haq hai mera sab ke barabar nahin milta

jab tak talab-e-sabr thi dil ne na diya sath
ab zauq-e-sitam hai to sitamgar nahin milta

diwangi-e-shauq ka kaise ho nazara
sar phodna chahun bhi to patthar nahin milta

tum ko to 'habib' us ne sada di hai kai bar
aisa to kisi ko bhi muqaddar nahin milta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close