kisi tarah bhi wo takmil-e-muddaa karte

kisi tarah bhi wo takmil-e-muddaa karte
wafa ki khu jo nahin thi to phir jafa karte

ada-e-husn to talib hai jaan-sipari ki
kalim kaise tajalli ka samna karte

tamam umr khuda se yahi dua mangi
wo din bhi aata jo wo mujh se iltija karte

hamein kisi ki talab ka bharam to rakhna tha
jo hum ye jaan na dete to aur kya karte

faqat tahaffuz-e-kashti ka dhyan tha warna
hum aur minnat-e-ehsan-e-nakhuda karte

zara bataen jo furqat mein hum pe bit gai
ye waqt aap pe padta to aap kya karte

main un ke lab ki dua ka uthaun kyon ehsan
jo dekhne ko na aae wo kya dua karte

wafa hai aaj bhi hal-mim-mazid ki talib
'habib' mar gae kitne wafa wafa karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close