jis ka rahib shaikh ho but-khana aisa chahiye mohtasib saqi bane mai-khana aisa chahiye rakhta hai sar-khush hamein ek chashm-e-maigun ka khayal ho na jo paiman-shikan paimana aisa chahiye ho khayal-e-dair dil mein aur na ho pas-e-haram aashiqon ka maslak-e-rindana aisa chahiye ek nigah-e-naz par qurban kare hosh-o-khirad ishq-bazi ke liye farzana aisa chahiye is ke dil mein soz ho aur us ke dil mein ho gudaz shama aisi chahiye parwana aisa chahiye shama san ghulte rahen hum aur na ho us ko lagan 'mashriqi' mashuq be-parwana aisa chahiye